kisi but ka ye dil shaida nahin hai
hamare sar men ye sauda nahin hai
ḳhuda kya hai ye batlana kaThin tha
so batlaya ki vo kya kya nahin hai
tum iman laao vo rasta saral hai
saral tahqiq ka rasta nahin hai
ḳhuda hota ye main bhi chahta huun
mera chaha ḳhuda karta nahin hai
ḳhuda kya hai ye muusa ne bataya
suna.i deta hai dikhta nahin hai
yahi tarif hai us ki ki us ko
kisi ne aaj tak dekha nahin hai
ḳhuda ke ishq men ho hamd likho
kisi ne bhi tumhen roka nahin hai
azal se ilm hai iman ka dushman
bahut kuchh janna achchha nahin hai
ḳhirad-mandon pe is ko chhoḌ pyare
junun ye mas.ala tera nahin hai
Leave a Reply