kis qadar mujh ko na-tavani hai
bar-e-sar se bhi sargirani hai
chashm-e-tar se jo khun-fishani hai
navak-e-ishq ki nishani hai
saare quran se us pari-ru ko
yaad ik lafz-e-lan-tarani hai
jab hua rutba-e-fana fillah
gham nahin gar jahan-e-fani hai
hai har ik sher yaar ki tasvir
fikr apni khayal-e-mani hai
kyuun na hon ashiq-e-lab-e-janan
chashma-e-ab-e-zindagani hai
us ki raftar ke likhe hain jo vasf
kya miri taba men aati hai
naseha ashiqi men rakh maazur
kya karun aalam javani hai
kis se duun us sanam ko main tashbih
kab khudai men us ka saani hai
na miri zakhm par rakho marham
mere qatil ki ye nishani hai
sar kataenge shama saan khamosh
gar yahi apni be-zabani hai
ham nahin shama hon jo ashk-fishan
kar-e-ushshaq jan-fishani hai
munh ne ghar men mire rakkha us ko
ye bhi taid-e-asmani hai
dil bhi us se utha nahin sakte
na-tavani si na-tavani hai
qad-e-mauzun ke ishq men ‘goya’
raat din shughl-e-sher-khvani hai
Leave a Reply