kis munh se kahen gunah kya hain
tauba hai ru-siyah kya hain
allah hai afv karne vaala
main kya huun mire gunah kya hain
ai dost tire gada ke aage
kuchh bhi nahin badshah kya hain
tum sa koi bad-chalan na hoga
hai hai ashiq tabah kya hain
gori gori hai un ki surat
us par gesu-e-siyah kya hain
chakkar main hain shaikh-o-gabr dono
apne liye khud tabah kya hain
dekhe koi hal-e-ahl-e-duniya
ye log bhi vaah vaah kya hain
utren un se muqable ko
aflak pe mehr-o-mah kya hain
dhumen tegh-e-nigah ki hain
tevar ai kaj-kulah kya hain
shahid hain tire sitam ke lakhon
do-char us ke gavah kya hain
allah re un buton ki ankhen
kafir jaadu nigah kya hain
kat jaegi umr-e-chand-roza
fikren sham-o-pagah kya hain
un ka to javab hi nahin hai
masha-allah vaah kya hain
ai dil ulfat ke mahkame men
qaazi kya hai gavah kya hain
dil hai to ziyada us se honge
ye nala-o-ashk-o-ah kya hain
pahlu men nigar haath men jaam
is vaqt to badshah kya hain
un ki aamad jo ai ‘saba’ hai
sab matlab ru-ba-rah kya hain
Leave a Reply