• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kis Ko Bahlate Ho Shishe Ka Gulu TuT Gaya

Kis Ko Bahlate Ho Shishe Ka Gulu TuT Gaya

poet

kis ko bahlate ho shishe ka gulu TuuT gaya

ḳhum mire munh se laga de jo subu TuuT gaya

kiijo us zulf ko mashshat samajh kar shana

laakh dil TuuTe agar ek vo mu TuuT gaya

kuchh ḳhabar hai tujhe kahte hain tire zaḳhmi ka

aaj phir chaak ka siine ke rafu TuuT gaya

falak us dil-shikani ka to maza dekhega

koi dil gar kabhi ai arbada-ju TuuT gaya

thi muridon ke liye qalb ke sadme ki dalil

shaiḳh ka raqs men sam par jo vuzu TuuT gaya

dhyan us shishe ka rakhna ki na hoga paivand

dil miri jaan agar yak sar-e-mu TuuT gaya

us ḳhud-ara ke raha haath men nit a.ina

gham se a.ina-dil haa.e na tu TuuT gaya

mohtasib ne to ḳharabat men ki ḳhun-rezi

par sar-e-rind pe shab mai ka kadu TuuT gaya

dekhna tar-e-mohabbat ki hai mushkil phir sanTh

rishta-e-dosti ai ‘lutf’ kabhu TuuT gaya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Kaun Hote Hain Wo Mahfil Se Uthane Wale

kishwar-naheed

Kashid Shab

poet

Bahaar-E-Zist Ki Mahrumiyan Are Tauba

najm-aafandi

Hasti Koi Aisi Bhi Hai Insan Ke Siwa Aur

Nishan Ilm-O-Adab Ka Ab Bhi Hai ujDe Dayaron Mein

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet