kis kis tarah se mujh ko na rusva kiya gaya
ghairon ka naam mere lahu se likha gaya
nikla tha main sada-e-jaras ki talash men
dhoke se is sukut ke sahra men aa gaya
kyuun aaj us ka zikr mujhe khush na kar saka
kyuun aaj us ka naam mira dil dukha gaya
main jism ke hisar men mahsur huun abhi
vo ruuh ki hadon se bhi aage chala gaya
is hadse ko sun ke karega yaqin koi
suraj ko ek jhonka hava ka bujha gaya
Leave a Reply