ḳhvabon ki tafsil bata kar ja.enge
jo uTThi hai dhuul biTha kar ja.enge
aap agar chahen to haan aram karen
ham to bas avaz laga kar ja.enge
kahte hain paiman nibhana mushkil hai
ham apna paiman nibha kar ja.enge
jazbe ne jo rang nikhare ankhon men
un se ham tasvir bana kar ja.enge
aap ne jo divar usari nafrat ki
‘anvar’ ye divar gira kar ja.enge
Leave a Reply