khvab men aao mire rangin khvabon ki tarah
padh sakun tum ko main rumani kitabon ki tarah
dijiye tashbih kya un ko mah-o-khurshid se
ek chehra un ka hai sau aftabon ki tarah
chahe gar insan to ban sakti hai la-fani hayat
zindagi insan ki go hai hababon ki tarah
jaise mahfum-o-maani se hon aari saare hi
padhta huun ik ek chehre ko kitabon ki tarah
tishnagi sab ki bujhaen bahr-e-be-payan banen
ban ke duniya men rahen ham kyuun sarabon ki tarah
Leave a Reply