na zamīn thī hamārī na hī āsmāñ hamārā
mile aap jab huā hai ye jahāñ jahāñ hamārā
baḌe haq se mere dil pe vo hathelī rakh ke bole
ki jahāñ jahāñ se dhaḌkā ye vahāñ vahāñ hamārā
use shak thā har pal us ko ye jahāñ parakh rahā hai
isī kashmakash meñ letā rahā imtihāñ hamārā
jo zabāñ khule to rishtoñ kī lagām chhūTtī hai
jise kah diyā ho apnā vo rahā kahāñ hamārā
sabhī saath chalne vāloñ kī alag alag thī manzil
vahāñ rukte haiñ jahāñ se chalā kārvāñ hamārā