na hoga hashr mahshar men bapa kya
na hoga mera un ka faisla kya
dagha dega mujhe vo pur-jafa kya
na aade aaegi meri vafa kya
chaman men kis liye gul hans rahe hain
shagufa tu ne chhoda ai saba kya
chalo bigdo na mah kahne par itna
bashar se ho nahin jaati khata kya
unhen tark-e-taalluq hai jo manzur
mujhe ilzam dete hain vo kya kya
vo kab ka bah gaya sab khuun ho kar
lagaega koi dil ka pata kya
kiya hai vada-e-farda kisi ne
na hogi ab qayamat bhi bapa kya
khuda ki bhi nahin sunte hain ye but
bhala main kya huun meri iltija kya
jafaon ke liye ki thiin vafaen
natija dosti ka hai dagha kya
unhin ki si ye dil bhi kah raha hai
misal-e-chashm-e-janan phir gaya kya
ajab andaz se nikla mira dam
ada-e-yar thi meri qaza kya
manane se nahin manta jo koi
hamara dam khafa hota hai kya kya
diye dukh bhi to ji bhar ke na ham ko
falak tu kya hai tera hausla kya
dagha di ham ko dil le kar hamara
yahi jurm-e-vafa ki thi saza kya
mujhe kyuun aaj hichki aa rahi hai
koi yaad aai aur un ko jafa kya
karen shikva na sahab dahr ka bhi
zamane men tumhin ho bevafa kya
shab-e-furqat dagha di zabt ne bhi
dila sach hai kisi ka aasra kya
vo be-khud pa ke ‘zeba’ ko ye bole
dil aaya aap ka mera gaya kya
Leave a Reply