khvab girvi rakh diye ankhon ka sauda kar diya
qarz-e-dil kya qarz-e-jan bhi aaj chukta kar diya
ghair ko ilzam kyuun den dost se shikva nahin
apne hi hathon kiya jo kuchh bhi jaisa kar diya
kuchh khabar bhi ho na paai is dayar-e-ishq men
kaun yusuf ho gaya kis ko zulekha kar diya
dil ke darvaze pe yaden shor jab banne lagin
dhadkanon ka naam de kar bojh halka kar diya
kitne achchhe log the kya raunaqen thiin un ke saath
jin ki rukhsat ne hamara shahr suuna kar diya
apne pyaron ko bachaya dard ki har mauj se
aankh men sailab roka dil ko dariya kar diya
phul, paude, ped, bachche ghar ka angan aur tum
khvahishon ke naam par in sab ko yakja kar diya
gham nahin la-hasili ka ishq ka hasil hai ye
ai hisab-e-zindagi tujh ko to puura kar diya
hijr se hijrat talak har dukh se samjhauta kiya
bhiid men rah ke bhi main ne khud ko tanha kar diya
ye zamin ‘hasrat’ ki hai is par qadam rakkha to phir
itni jurat ho gai arz-e-tamanna kar diya
Leave a Reply