• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Khwab-E-Sahar

Khwab-E-Sahar

asrarul-haq-majaz

mahr sadiyon se chamakta hi raha aflak par

raat hi taari rahi insan ke idrak par

aql ke maidan men zulmat ka dera hi raha

dil men tariki dimaghon men andhera hi raha

ik na ik mazhab ki sai-e-kham bhi hoti rahi

ahl-e-dil par barish-e-ilham bhi hoti rahi

asmanon se farishte bhi utarte hi rahe

nek bande bhi khuda ka kaam karte hi rahe

ibn-e-maryam bhi uthe musi-e-imran bhi uthe

raam o gautam bhi uthe firaun o haman bhi uthe

ahl-e-saif uthte rahe ahl-e-kitab aate rahe

iin janab uthte aur an-janab aate rahe

hukmaran dil par rahe sadiyon talak asnam bhi

abr-e-rahmat ban ke chhaya dahr par islam bhi

masjidon men maulvi khutbe sunate hi rahe

mandiron men barhaman ashlok gaate hi rahe

aadmi minnat-kash-e-arbab-e-irfan hi raha

dard-e-insani magar mahrum-e-darman hi raha

ik na ik dar par jabin-e-shauq ghisti hi rahi

adamiyyat zulm ki chakki men pasti hi rahi

rahbari jaari rahi paighambari jaari rahi

diin ke parde men jang-e-zargari jaari rahi

ahl-e-batin ilm se sinon ko garmate rahe

jahl ke tarik saae haath phailate rahe

ye musalsal afaten ye yorish ye qatl-e-am

aadmi kab tak rahe auham-e-batil ka ghulam

zehan-e-insani ne ab auham ke zulmat men

zindagi ki sakht tufani andheri raat men

kuchh nahin to kam se kam khvab-e-sahar dekha to hai

jis taraf dekha na tha ab tak udhar dekha to hai

Filed Under: Nazm Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Mujhse Puchhe Hain Wo Ki Kya Hai Dil

poet

Us Ka Mizaj Puchho Jo Har Waqt Pas Hai

poet

Koi Hamdard Na Hamdam Na Yagana Apna

abroo-shah-mubarak

Aashiq Bipat Ke Mare Rote Hue Jidhar Jaan

abdul-hamid-adam

Ek Reza Tere Tabassum Ka

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet