ḳhvab aisa bhi nazar aaya hai akasr mujh ko
laga jibril ka shahpar mira bistar mujh ko
apne maqsad ke liye lafz bana kar mujh ko
koi dauḌata hai kaghaz ki saḌak par mujh ko
Das na le dekho kahin dhuup ka manzar mujh ko
tum ne bheja to hai bal khati saḌak par mujh ko
sab ko main un ki kitabon men nazar aata huun
log paḌhte hain tire shahr men ghar ghar mujh ko
kyuun na ghabra.un ki tanha huun ghana hai jangal
duur se dekhe hai sannaTe ka lashkar mujh ko
kyuun na sahra ko nichoḌun ki miri pyaas bujhe
dega ik qatra na kanjus samundar mujh ko
niind jab tak thi miri ankhon men mahfuz tha main
qatl lamhon ne kiya ḳhvab se bahar mujh ko
meri ankhon ke dahakte hue shole pa na ja
sard kitna huun samajh haath se chhu kar mujh ko
vo pighalta hai ki ‘shariq’ mira tan jalta hai
dekhe rakh kar koi suraj ke barabar mujh ko
Leave a Reply