khvab ankhon se zaban se har kahani le gaya
mukhtasar ye hai vo meri zindagani le gaya
phuul se mausam ki barsaten havaon ki mahak
ab ke mausam ki vo sab shamen suhani le gaya
de gaya mujh ko sarabon ka sukut-e-mustaqil
mere ashkon se vo dariya ki ravani le gaya
khaak ab udne lagi maidan sahra ho gae
ret ka tufan dariyaon se paani le gaya
kaun pahchanega ‘zarrin’ mujh ko itni bhiid men
mere chehre se vo apni har nishani le gaya
Leave a Reply