ham ne DhunDen bhi to DhunDen hain sahare kaise
in sarabon pe koi umr guzare kaise
haath ko haath nahin sujhe vo tariki thi
aa ga.e haath men kya jaane sitare kaise
har taraf shor usi naam ka hai duniya men
koi us ko jo pukare to pukare kaise
dil bujha jitne the arman sabhi ḳhaak hue
raakh men phir ye chamakte hain sharare kaise
na to dam leti hai tu aur na hava thamti hai
zindagi zulf tiri koi sanvare kaise
Leave a Reply