• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ishq Ka Ghaw Jaan Mein Rakh Kar Bhul Gai

Ishq Ka Ghaw Jaan Mein Rakh Kar Bhul Gai

ishq ka ghaav jaan men rakh kar bhuul ga.i

ḳhud ko atish-dan men rakh kar bhuul ga.i

nargis ke do phuul uTha kar phenk diye

aur ankhen gul-dan men rakh kar bhuul ga.i

kuchh aansu to ankhon men chhup jaate hain

kuchh aansu muskan men rakh kar bhuul ga.i

ghonsla tha aur shoḳh hava ki Thokar thi

tinke men tufan men rakh kar bhuul ga.i

jis ki ḳhatir sha.iri karti rahti thi

ab us ko divan men rakh kar bhuul ga.i

kamre men kuchh saa.e nachte rahte hain

suraj raushan-dan men rakh kar bhuul ga.i

kya khoya kya paaya kuchh mat puchh sakhi

jivan ik hizyan men rakh kar bhuul ga.i

sanson ki mazduri men jo ishq mila

ik shahi farman men rakh kar bhuul ga.i

jalti dhuup men chand ka tohfa kya karti

shayad main dalan men rakh kar bhuul ga.i

suraj chand bhi ja kar lauT hi aate hain

umr isi imkan men rakh kar bhuul ga.i

phuul se rishte patti patti bikhre the

patjhaḌ-rut saman men rakh kar bhuul ga.i

is lahje ki os men jo anchal bhiga

ik TuuTe paiman men rakh kar bhuul ga.i

aaj ‘sahar’ in do hansti hui ankhon ko

yadon ke juzdan men rakh kar bhuul ga.i

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ye Lagta Hai Ab Bhi Kahin Kuchh Bacha Hai

Rabt-E-Pinhan Ki Sadaqat Hai Na Milna Tera

Marna Azab Tha Kabhi Jina Azab Tha

Zindagi Ke Bahut Masail Hain

KHamosh Rah Gae Guftar Tak Nahin Pahunche

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet