• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / KHushbuon Ki Dasht Se Hamsaegi taDpaegi

KHushbuon Ki Dasht Se Hamsaegi taDpaegi

ḳhushbuon ki dasht se hamsa.egi taḌpa.egi

jis ko bhi hasil hui ye agahi taḌpa.egi

raushni ko gung hote jis ne dekha ho kabhi

kis havale se use tira-shabi taḌpa.egi

kaḌhta tha main hi sang-e-saḳht par resham se phuul

kya ḳhabar thi ye nazar sha.istagi taḌpa.egi

ḳhvab the payab is ka dukh nahin kab thi ḳhabar

mujh ko ta.abiron ki ik be-qamati taḌpa.egi

main na kahta tha ki sho.alon se na karna dosti

main na kahta tha ki ye dariya-dili taḌpa.egi

zaviya-dar-zaviya manzar badalte ja.enge

aankh saari aankh bhar ye zindagi taḌpa.egi

naghme chup hain aur rut bhi kah rahi hai chup raho

kis ko ab dil ki ye na-asudgi taḌpa.egi

aur ik din dasht badal se chura.enge nazar

aur mujh ko is ki ye be-ḳhangi taḌpa.egi

kuchh na kuchh ‘manzur’ dil se rabta rah ja.ega

us ko mujh se dosti ya dushmani taḌpa.egi

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Fath Pane Ki Nai Rah Nikali Usne

Ghair Udhar Lutf-O-Karam Se Mahzuz

Badli Hui Dildar Nazar Dekh Rahe Hain

shah-naseer

Na dikhaiyo Hijr Ka dard-O-Alam Tujhe deta Hun Charkh-E-Khuda Ki Qasam

poet

Hoti Hai Haar Jit Pinhan Baat Baat Mein

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet