• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Khush Nahin Aae Bayaban Meri Virani Ko

Khush Nahin Aae Bayaban Meri Virani Ko

ahmad-shahryar

khush nahin aae bayaban miri virani ko

ghar bada chahiye is be-sar-o-samani ko

dhaal duun chashma-e-pur-harf ko aine men

apni avaz men rakh duun tiri hairani ko

jada-e-nur ko thokar pe sajata hua main

dekhta rahta huun rangon ki pur-afshani ko

sar-e-sahra miri ankhon ka talatum jaaga

mauja-e-reg ne sarshar kiya paani ko

sajda-e-naqsh-e-kaf-e-pa-e-nigaran hi to hai

jis ne tabinda rakha hai miri peshani ko

tujh se bhi kab hui tadbir miri vahshat ki

tu bhi mutthi men kahan bhench saka paani ko

sard mausam ne thithurte hue suraj se kaha

chadar-e-abr to hai dhanp le uryani ko

‘shahryar’ apne kharabe pe hukumat hai miri

koi mujh sa ho to samjhe miri sultani ko

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

obaidullah-khan-mubtala

Husn Ke danke Ki dhum Jag Mein Padi Ja-Ba-Ja

Furaat-E-Fasila Se Dajla-E-Dua Se Udhar

Mai-E-Be-Rang Ka Sau Rang Se Ruswa Hona

poet

Jagte din Ki Gali Mein Raat Aankhen Mal Rahi Hai

Kisi Surat Sahar Nahin Hoti

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet