ḳhumar-e-shab men tira naam lab pe aaya kyuun
nashe men aur bhi the main hi laḌkhaḌaya kyuun
main apne shahr ki har rahguzar se puchhta huun
paḌa hua hai yahin vahshaton ka saaya kyuun
koi to dard hai aisa jo khinchta hai use
mire hi dil ki taraf lauT kar vo aaya kyuun
kisi nigah ka main husn-e-intiḳhab na tha
to zindagi ne mujhe hi phir azmaya kyuun
kisi diye se gila bhi karen to kaise karen
para.e ghar ki munDeron pe jagmagaya kyuun
mujhe sambhal ke rakhna tha ai nigar-e-vatan
gali gali men lahu ki tarah bahaya kyuun
main gir paḌa tha kahin bebasi ke aalam men
mujhe uTha ke kisi ne gale lagaya kyuun
Leave a Reply