khul ke milne ka saliqa aap ko aata nahin
aur mere paas koi chor darvaza nahin
vo samajhta tha use pa kar hi main rah jaunga
us ko meri pyaas ki shiddat ka andaza nahin
ja dikha duniya ko mujh ko kya dikhata hai ghurur
tu samundar hai to hai main to magar pyasa nahin
koi bhi dastak kare aahat ho ya avaz de
mere hathon men mira ghar to hai darvaza nahin
apnon ko apna kaha chahe kisi darje ke hon
aur jab aisa kiya main ne to sharmaya nahin
us ki mahfil men unhin ki raushni jin ke charagh
main bhi kuchh hota to mera bhi diya hota nahin
tujh se kya bichhda miri saari haqiqat khul gai
ab koi mausam mile to mujh se sharmata nahin