ḳhudi kya aur ḳhudi ka mudda.a kya
jo banda hai banega vo ḳhuda kya
kisi ḳhud-bin se hota ashna kya
tujhe dekha tha duniya dekhta kya
qayamat-ḳhez jis ki ibtida ho
phir us ki intiha ka puchhna kya
tire jalvon ne fursat hi nahin di
main nairang-e-zamana dekhta kya
tajalli raaz hai sahra-e-hasti
harim-e-husn ka parda uTha kya
nazar men rakh tu apni hadd-e-imkan
dua ko dekh tasir-e-dua kya
karam-gustar faqir-e-be-nava huun
faqir-e-be-nava ka mudda.a kya
takalluf bartaraf main saaf kah duun
vafa kya aur paiman-e-vafa kya
haqiqat khul ga.i ai ‘raz’ aḳhir
bharam tha ‘qadri’ sahab ko kya kya
Leave a Reply