• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / KHudi Ko Aa Gai Hansi Umid Ke Sawal Par

KHudi Ko Aa Gai Hansi Umid Ke Sawal Par

ḳhudi ko aa ga.i hansi umiid ke saval par

andhere tilmila uThe charagh ki majal par

ye chahaton ka dard hai ye qurbaton ka hashr hai

jo dhuup chhup ke roi aftab ke zaval par

ye jaan kar ki chand mere ghar men jagmaga.ega

sitare aaj shaam se hi aa ga.e kamal par

nazar men zindagi ki phuul mo’atabar na ho sake

ḳhizan ko e’tiraz tha bahar se visal par

ḳhabar ye der se uḌi ki maut se mafar nahin

parind jab utar chuke shikariyon ke jaal par

zamana jis ki zindagi men qadr kuchh na kar saka

ab asman ro raha hai us ke intiqal par

kahan vo ‘mina’ chahaton ki shiddaton ka silsila

kahan ye be-niyaziyan hamare arz-e-hal par

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Qasida Tujhse Ghazal Tujhse Marsiya Tujhse

farah-iqbal

Wo Mere Bare Mein Aise Bhi Sochta Kab Tha

sarwat-zehra

Gum-Shuda Lamhe Ki Talash

poet

Wufur-E-Zof Se dil Yar Par Nahin Aata

Dil Bhi Jaise Hamara Kamra Tha

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet