tha mira sab par bacha kuchh bhi nahin
ab mira mujh men raha kuchh bhi nahin
main bhala kyuun kahta gar milti ḳhushi
zindagi gham ke siva kuchh bhi nahin
umr ḳhidmat ko di aur is ke evaz
ek hasti ne liya kuchh bhi nahin
yaan zamir insan ka mar-khap chuka
aur kahte ho hua kuchh bhi nahin
us ke jaane par mujhe aisa laga
jaise mera ab raha kuchh bhi nahin
dekhiye majnun si halat ho ga.i
aur kahte ho saha kuchh bhi nahin
zindagi ji kar bhi ik insan ko
kyuun lage us ne jiya kuchh bhi nahin
aadmi se hoge tum insan kab
vaqt hai ab bhi gaya kuchh bhi nahin
ḳhatir-e-duniya nahin kya kuchh kiya
aur kahte ho kiya kuchh bhi nahin
aah hasrat karte hain insan gunah
hashr ki jaise saza kuchh bhi nahin
Leave a Reply