ḳhudi ki fitrat-e-zarrin ke raz-ha-e-darun
ada-shanas haqiqat mile koi to kahun
ḳhudi agar hai to hain surḳh-ru hayat-o-mamat
ḳhudi nahin to hayat-o-mamat ḳhar-o-zabun
ḳhudi vo chiiz hai nadan ki jis ke badle men
mile jo daulat-e-kaunain bhi mujhe to na luun
alamaten hain ye sab ek mard-e-kamil ki
ḳhulus-e-ruh o yaqin-e-tamam o soz-e-darun
samajh saka na samajh kar bhi aaj tak koi
ye ab-o-gil ka fasana ye ab-o-gil ka fusun
miri nazar men hai raz-e-darun-e-mai-ḳhana
magar ye soch raha huun kahun to kis se kahun
jinhen talash-e-sukun hai unhen ye kya malum
ki ek mahshar-e-ḳhamosh hai jahan-e-sukun
Leave a Reply