• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Khudaya Hind Par Teri Inayat Ho Inayat Ho

Khudaya Hind Par Teri Inayat Ho Inayat Ho

poet

khudaya hind par teri inayat ho inayat ho

baradar ko baradar se mohabbat ho mohabbat ho

na hindu ko musalman se adavat ho adavat ho

musalman ko na hindu se kudurat ho kudurat ho

tiri ai phuut jis ghar men iqamat ho iqamat ho

na kyuun be-intiha us men musibat ho musibat ho

yahi hai muddaa apna yahi hai iltija apni

vatan men rat-din yarab masarrat ho masarrat ho

sharaf is khaak ke putle ko hai insan hone ka

gharib-e-zar par jis ki inayat ho inayat ho

haqiqat men vahi hai bahra-var ishq-e-haqiqi se

urus-e-mulk se jis ko mohabbat ho mohabbat ho

ibadat naam hai us ka shariat hai laqab us ka

dil-o-jan se jo khilqat ki itaat ho itaat ho

jo ho hamdard khilqat ka vatan ka jo murabbi ho

ghazab hai zaat par us ki aziyyat ho aziyyat ho

dil-o-jan din-o-iman mulk-o-daulat par jo aadi hain

ilahi un ki ankhon men muravvat ho muravvat ho

saza-var-e-khitab-e-khizr vo insan hai duniya men

ki rah-gum-karda ki jis se hidayat ho hidayat ho

tujhe ai ‘barq’ ham samjhenge ahl-e-dil agar tujh se

dam-e-mushkil khalaeq ki ianat ho ianat ho

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Dasht-E-Dua Mein Tere Parastar Rah Gae

fatima-hasan

Zakhmi Ungliyon Se Ek Nazm

ghanTiyan Bajne Se Pahle Sham Hone Ke Qarib

Shiddat-E-Nafrat Ho Dil Mein Aur Amal Nafrin-Tar

Ki Jae Chhup Ke Aisi Yahan Ghaebana Baat

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet