ḳhud apne zahr ko piina baḌa karishma hai
jo ho ḳhulus to jiina baḌa karishma hai
yahan to ab-o-sarab ek hai jidhar jaa.en
tumhare haath hai miina baḌa karishma hai
tumhara daur karishmon ka daur hai sach hai
tumhare daur men jiina baḌa karishma hai
jahan nasib ho aish-e-davam be-tag-o-dau
jabin pe garm pasina baḌa karishma hai
gham-e-ma.ash ki gardish ḳhud-agahi ka bharam
is iḳhtilaf men jiina baḌa karishma hai
shumariyat bhi ‘shahin’ sher-goi bhi
ye harf harf nagina baḌa karishma hai
Leave a Reply