ḳhud apne aks ko hairat se dekhta huun main
kanar-e-ab baḌi der se khaḌa huun main
svang bharta phirun kab talak mohabbat ke
main kyuun na saaf hi kah duun ki bevafa huun main
suna na qisse mujhe damanon ki ismat ke
ki tere shahr ke logon ko janta huun main
vo kaun hai jo mire saath saath chalta hai
ye dekhne ko ka.i baar ruk gaya huun main
main aaj dekh sakunga tulua ka manzar
ki raat biit chali aur jagta huun main
sitam hai tu bhi mujhe ḳhud-gharaz samajhta hai
ki tere haq men to ḳhud se bhi laḌ raha huun main
vo ji rahe hain ki jo soch se hue aari
main mar raha huun ki ‘betab’ sochta huun main
Leave a Reply