ḳhuub hathon-hath badla mil gaya bedad ka
ashiyan mera jala ghar jal gaya sayyad ka
ye ḳhulasa muḳhtasar hai ishq ki rudad ka
shauq hai un ko satane ka hamen fariyad ka
har giraftar-e-qafas qaidi hai be-mi.ad ka
chhoḌ bhi deta hai ji chahe agar sayyad ka
vaah mujh aise muqayyad ko laqab aanra ka
maslahat sayyad ki hai ya karam sayyad ka
ab kya karta hai matam bulbul-e-nashad ka
dil larazta hai taqayya dekh kar sayyad ka
hashr us din dekhna har bani-e-be-dad ka
jab zamin tanbe ki hogi asman faulad ka
kya miri fariyad ka un par asar hota nahin
jo unhen ma.alum ho jaata sabab fariyad ka
kahte hain be-qa.ida fariyad ham sunte nahin
phir batate bhi nahin vo qa.eda fariyad ka
ek ḳhud-bin ko hua jis vaqt ḳhud-bini ka shauq
ban gaya manDan saare alam-e-ijad ka
kuchh miri fariyad bhi un par asar karti nahin
aur kuchh vo bhi asar lete nahin fariyad ka
ashiqi sar phoḌ lene ke siva kuchh bhi nahin
ham to ye samjhe hain sun kar majra farhad ka
daam ka kya zikr hai main banda-e-be-dam huun
shamat aa.i phans gaya munh dekh kar sayyad ka
intizam-e-ab-o-dana hai na tanzim-e-qafas
mujh se puchho bolta shahkar huun sayyad ka
nala-o-fariyad bahr-e-aish ho jab ai safi’
phir kahan tasir naale ki asar fariyad ka
Leave a Reply