ḳhuub azadi-e-sahafat hai
nazm likhne pe bhi qayamat hai
da.ava jamhuriyat ka hai har-an
ye hukumat bhi kya hukumat hai
dhandli dhons ki hai paidavar
sab ko ma.alum ye haqiqat hai
ḳhauf ke zehn-o-dil pe saa.e hain
kis ki izzat yahan salamat hai
kabhi jamhuriyat yahan aa.e
yahi ‘jalib’ hamari hasrat hai
Leave a Reply