• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Khizar Kya Hum To Is Jine Mein Bazi Sab Se Jite Hain

Khizar Kya Hum To Is Jine Mein Bazi Sab Se Jite Hain

shad-azimabadi

khizar kya ham to is jiine men baazi sab se jiite hain

dam ab ukta gaya allahu-akbar kab se jiite hain

samajh le qasidon ne kuchh to aisi hi khabar di hai

kahen kya tujh se ai naseh ki jis matlab se jiite hain

kisi halat na ham se badh sakegi raat furqat ki

ki ham baazi siyah-bakhti men bhi is shab se jiite hain

dam apna ghut ke kab ka hijr-e-janan men nikal jaata

madad-gari-e-shor-e-naara-e-yarab se jiite hain

ise bavar kar ai gham-khvar kab ke mar gae hote

payam-e-vasl jab se sun liya hai tab se jiite hain

zaban qaabu men hai sunne ko tashbihen sune jaao

nazakat men kahan auraq-e-gul us lab se jiite hain

abas daryaft karte ho sabab is sakht-jani ka

khuda jaane ki ham ai ‘shad’ kis matlab se jiite hain

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Ab Main Payam-E-Fasl-E-Bahaaran Ko Kya Karun

Uske Hathon Mein Wo Tasir-E-Masihai Thi

Awwal Awwal KHwab Dikhaya Jaega

Dhup khiDki Se Sirhane Aai

Rang KHake Mein Naya Bhar Dunga Main

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet