ḳhizan ke hosh kisi roz main uḌata hua
tumhen dikhunga yaqinan bahar laata hua
tamam vaar miri ruuh par the lekin main
tamam umr phira jism ko bachata hua
ḳhushi se karna ravana mire makan mujh ko
main haar ja.un agar vahshaten harata hua
bahut udaas akela hamesha lauTa kyuun
falak pe jo bhi dikha mujh ko jagmagata hua
mujhe bulane makan aa na jaa.e sahra tak
main ghar se aaya to huun naqsh-e-pa miTata hua
tumhari yaad hai bikhri paḌi ka.i din se
laraz raha huun main apne hi ghar men aata hua
hai ik gharib ke bachche si zindagi apni
ḳhushi ka parb bhi guzre jise rulata hua
ye tere lams ka jaadu hai ya vafa meri
badan se aa gaya bahar gale lagata hua
Leave a Reply