Ghafil Dil Aur Ishq Ki rasMein

ġhāfil dil aur ishq kī rasmeñ

ishq kahāñ phir dil ke bas meñ

kahāñ ga.e phūloñ se gharauñde

jin ke liye rote the qafas meñ

aah vahī matlūb na niklā

jis kī talab raqsāñ thī nafas meñ

ummīdoñ kī apnī ghuTan thī

umr guzārī ham ne umas meñ

lau ke pyāle kyā chalkā.eñ

barf ghulī hai dhuup ke ras meñ

hasrat ban jaatī hai tamannā

yuuñ na samā dil kī nas nas meñ

Leave a Comment