shaḳh se phuul ko phir juda kar diya
zaḳhm peḌon ka kis ne hara kar diya
ek TukḌa ḳhushi ka tha rakkha hua
jaane kis shaḳhs ne lapata kar diya
kyuun ta.alluq ki buniyad Dahne lagi
be-yaqini ko kis ne khaḌa kar diya
pahle manzil dikha.i mujhe aur phir
band charon taraf rasta kar diya
vaqt ḳhud apne chehre se Dar ja.ega
main ne ehsas ko aa.ina kar diya
kaun ḳhush-fahmiyan palta roz-o-shab
shukr hai zindagi ne riha kar diya
vaqt ne chaal kaisi chali ai ‘hasan’
dost jaise ko dushman-numa kar diya
Leave a Reply