ab shauq se ki jaan se guzar jaana chahiye
bol ai hava-e-shahr kidhar jaana chahiye
kab tak isi ko akhiri manzil kahenge ham
ku-e-murad se bhi udhar jaana chahiye
vo vaqt aa gaya hai ki sahil ko chhod kar
gahre samundaron men utar jaana chahiye
ab raftagan ki baat nahin karvan ki hai
jis samt bhi ho gard-e-safar jaana chahiye
kuchh to subut-e-khun-e-tamanna kahin mile
hai dil tahi to aankh ko bhar jaana chahiye
ya apni khvahishon ko muqaddas na jante
ya khvahishon ke saath hi mar jaana chahiye
Leave a Reply