ḳhizan ka qarz to ik ik daraḳht par hai yahan
ye aur baat ki har shaḳh bar-var hai yahan
jo soch sakta hai vo zehn jal raha hai abhi
jo dekh sakti hai vo aankh ḳhuun men tar hai yahan
sunega kaun in ankhon ki be-sada fariyad
sama.aton ka to andaz hi digar hai yahan
sataya aaj munasib jagah pe barish ne
isi bahane Thahar jaa.en us ka ghar hai yahan
hisar-e-jism se bahar bhi zindagi hai mujhe
ye aur baat ki ehsas mo’tabar hai yahan
Leave a Reply