kabhi ḳhurshid-e-ziya-bar huun main
kabhi saaya pas-e-divar huun main
ye jo kuchh rang miri zaat men hain
kaun samjhega ki dushvar huun main
na-rasida hai abhi meri mahak
shaḳh-e-nau-ḳhez digar ambar huun main
hai koi naaz uThane vaala
ek TuuTa hua pindar huun main
log yuun bach ke guzar jaate hain
jaise girti hui divar huun main
main ne maana ki bahut talḳh huun ‘shauq’
apna pairaya-e-iz.har huun main
Leave a Reply