khirman-e-jan ke liye khud hi sharar ho gae ham
khaksari jo badhi khak-basar ho gae ham
apne hone ka yaqin aa gaya bujhte bujhte
be-karan shab men jo imkan-e-sahar ho gae ham
na-muradi men nashat-e-gham imkan tha ajab
ham kabhi shaad na ho paate magar ho gae ham
ham nahin kuchh bhi magar marka-e-ishq ki khair
jiit maqsum hui us ki jidhar ho gae ham
jada-e-ishq tira haq to ada kis se hua
khair itna hai ki aghaz-e-safar ho gae ham
zindagi aise guzari ki subuk sar na hue
yaani is daur men jiine ka hunar ho gae ham
tesha bhi ham the yaqin ham the to zindan kya chiiz
yahi hona tha so divar men dar ho gae ham
dast-e-qudrat hamen kuchh aur hai banna so bana
chhod ye zikr ki qatre se guhar ho gae ham
Leave a Reply