ḳhirad ki chhanv men niind aa rahi hai
kahan ghairat junun ki kho ga.i hai
mujhe tere tasavvur ne sambhala
jahan bhi gardish-e-dauran mili hai
hui muddat jala tha ashiyana
nigahon men abhi tak raushni hai
jahan vo chalte chalte ruk ga.e hain
vahan gardish falak ki tham ga.i hai
mire ashkon ki tabani se hamdam
shab-e-furqat ki zulmat kanpti hai
ye mera zauq-e-nazzara salamat
har ik surat men surat aap ki hai
kahan ja.un nikal kar mai-kade se
rah-e-dair-o-haram men tirgi hai
sambhal kar paanv rakh ai vahshat-e-dil
vafa ki rahguzar kanTon bhari hai
had-e-idrak men dam toḌna kya
junun-e-ishq men zinda-dili hai
gham-e-insan gham-e-dauran gham-e-dil
‘hayat’ ab kashmakash men zindagi hai
Leave a Reply