khīñchā huā hai gardish-e-aflāk ne mujhe
ḳhud se nahīñ utarne diyā chaak ne mujhe
mauj-e-havā meñ tairtā phirtā thā maiñ kahīñ
phir yuuñ huā ki khīñch liyā ḳhaak ne mujhe
maiñ raushnī meñ aa ke pashemāñ bahut huā
uryāñ kiyā hai ishq kī poshāk ne mujhe
ā.īñe kī tarah thā maiñ shaffāf o āb-dār
gadlā diyā hai chashm-e-havas-nāk ne mujhe
ḳhushbū sā maiñ ġhilāf ke andar muqīm thā
aur kho diyā hai sīna-e-sad-chāk ne mujhe
apne sivā jahāñ meñ koī sūjhtā nahīñ
lā pheñkā hai kahāñ mire idrāk ne mujhe