• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Khinch Kar Yun Le Chali Wahshat Bayaban Ki Taraf

Khinch Kar Yun Le Chali Wahshat Bayaban Ki Taraf

munshi-naubat-rai-nazar-lakhnavi

khinch kar yuun le chali vahshat bayaban ki taraf

laaen jaise tifl-e-bad-khu ko dabistan ki taraf

faiz vahshat ka ada-e-shukr jab vajib hua

sar jhukaya ham ne mehrab-e-gareban ki taraf

hasil-e-josh-e-junun hai matam-e-hosh-o-khirad

khaak udate jaate hain vahshi bayaban ki taraf

aql ke tegh-e-junun-e-tez se kuche kate

kaun aae jada-e-chak-e-gareban ki taraf

kar chuka josh-e-junun jins-e-khirad par haath saaf

laut ab aati hai bazar-e-gareban ki taraf

ishq ke maktab men jab aaya paye dars-e-junun

pahle hi ungli uthi nun-e-gareban ki taraf

mail-e-zevar hua jab vo hasin-e-jama-zeb

chand aaya charkh se tauq-e-gareban ki taraf

hosh men aate hain divane gai fasl-e-bahar

dasht-e-vahshat chhup rahe pusht-e-gareban ki taraf

nakhun-e-gham ka nishan dil par hai misl-e-mah-e-nau

ungliyan uthti hain us zakhm-e-numayan ki taraf

jab kisi ashiq ne kuchh hal-e-pareshani kaha

hans diye munh pher kar zulf-e-pareshan ki taraf

zoaf men ji khol kar rone ki hasrat hai mujhe

dekhta hai yaas se har ashk daman ki taraf

shama ke shoale sitam karte hain misl-e-barq-e-tur

dekhta huun jab ‘nazar’ bazm-e-hasinan ki taraf

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ik-Duje Ke Basi Un Ko Aur Basera Kya Malum

poet

Sidrat-Ul-Wasl Ke Sae Ka Talabgar Hun Main

Ai Abr-E-Iltifat Tera Etibar Phir

KHuda Se Use Mang Kar Dekhte Hain

Is Riyazat Ka Meri Jaan Sila Kuchh Bhi Nahin

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet