khila hai phuul bahut roz men muqaddar ka
bas ab na band ho darvaza tere mandar ka
tamam shahr hai hangama-e-nashat men gum
magar ye karb ye sannaTa mere andar ka
kabhi na khul ke hansa huun na roya ji bhar ke
rakha hai main ne hamesha qadam barabar ka
sada kisi ki ho aata hai apne aap se ḳhauf
vo ajnabi huun ki ghar ka raha na bahar ka
gurez hai use meri gali se yuun jaise
yahan jo aaya to ho ja.ega vo patthar ka
ye gaahe gaahe ka milna bhi koi milna hai
jo ho sake to pata dijiye kabhi ghar ka
kabhi kabhi ka ho qissa to koi dukh bhi sune
uTha.e bojh bhala kaun zindagi bhar ka
asir-e-dam-e-fareb-e-zaban hua aḳhir
na e’tibar jise aaya dida-e-tar ka
gham-e-zamana hai vo tegh-e-tishna-kam ‘anjum’
uḌe hain paanv agar vaar bach gaya sar ka
Leave a Reply