khiḌkī se zarā jhāñk le ik baar mere yaar
hai kaun tire dar pe talabgār mere yaar
ik giit sar-e-shām latā jī kī sharan meñ
aur us pe tire paañv kī jhankār mere yaar
hoñToñ se gavārā nahīñ āñkhoñ se lagā le
hai zehnī kashākash meñ terā yaar mere yaar
ik shaam zarā bhar kisī darvesh kī jholī
ye bhī haiñ tirī zulf ke haqdār mere yaar
mumkin nahīñ ban jā.ūñ kisī dar kā savālī
rahtā hai najaf meñ mirā sardār mere yaar
sab laash mirī qabr meñ rakhne pe tule haiñ
bas ek sadā thī ki mere yaar mere yaar
miltī na ho roTī jise do vaqt kī ‘sājid’
vo kaise kare ishq pe guftār mire yaar