KHayalon Mein Wafa Achchhi Lagi Hai

ḳhayāloñ meñ vafā achchhī lagī hai

ye jiine kī adā achchhī lagī hai

jo aksar pyaar meñ hotī hai yaaro

mujhe to vo ḳhatā achchhī lagī hai

milī hai jo mohabbat kī badaulat

hamesha vo sazā achchhī lagī hai

banī beTī jo dulhan baap bolā

hathelī par hinā achchhī lagī hai

mere mahbūb kī ḳhushbū jo laa.ī

mujhe bād-e-sabā achchhī lagī hai

Leave a Comment