
Hasrat Mohani
chupke chupke raat din aansu bahana yaad hai
ham ko ab tak ashiqi ka vo zamana yaad hai
ba-hazaran iztirab o sad-hazaran ishtiyaq
tujh se vo pahle-pahal dil ka lagana yaad hai
baar baar uthna usi janib nigah-e-shauq ka
aur tira ghurfe se vo ankhen ladana yaad hai
tujh se kuchh milte hi vo bebak ho jaana mira
aur tira danton men vo ungli dabana yaad hai
khinch lena vo mira parde ka kona dafatan
aur dupatte se tira vo munh chhupana yaad hai
jaan kar sota tujhe vo qasd-e-pa-bosi mira
aur tira thukra ke sar vo muskurana yaad hai
tujh ko jab tanha kabhi paana to az-rah-e-lihaz
hal-e-dil baton hi baton men jatana yaad hai
jab siva mere tumhara koi divana na tha
sach kaho kuchh tum ko bhi vo kar-khana yaad hai
ghair ki nazron se bach kar sab ki marzi ke khilaf
vo tira chori-chhupe raton ko aana yaad hai
aa gaya gar vasl ki shab bhi kahin zikr-e-firaq
vo tira ro ro ke mujh ko bhi rulana yaad hai
dopahar ki dhuup men mere bulane ke liye
vo tira kothe pe nange paanv aana yaad hai
aaj tak nazron men hai vo sohbat-e-raz-o-niyaz
apna jaana yaad hai tera bulana yaad hai
mithi mithi chhed kar baten nirali pyaar ki
zikr dushman ka vo baton men udana yaad hai
dekhna mujh ko jo bargashta to sau sau naaz se
jab mana lena to phir khud ruuth jaana yaad hai
chori chori ham se tum aa kar mile the jis jagah
muddaten guzrin par ab tak vo thikana yaad hai
shauq men mehndi ke vo be-dast-o-pa hona tira
aur mira vo chhedna vo gudgudana yaad hai
bavajud-e-iddia-e-ittiqa ‘hasrat’ mujhe
aaj tak ahd-e-havas ka vo fasana yaad hai

Leave a Reply