ḳhayal-o-ḳhvab ki duniya se istifada kiya
hunar samajh ke isi kaam ko ziyada kiya
ye tu ne kaun se mansab ki pasdari ki
banaya miir mujhe ḳhud ko mirzada kiya
kamal ye ki jise rasta mila hi nahin
vo kah raha hai safar ham ne pa-piyada kiya
koi batao ki main ḳhud ko rokta kaise
jab us ne saath mire chalne ka irada kiya
bahut dinon pe tabi.at udhar hui maa.il
bahut dinon pe saba ne bhi dil kushada kiya
Leave a Reply