dil-e-iza-talab le tera kahna kar liya main ne
kisi ke hijr men jiina gavara kar liya main ne
but-e-paiman-shikan se intiqaman hi sahi lekin
sitam hai vada-e-tark-e-tamanna kar liya main ne
niyaz-e-ishq ko surat na jab koi nazar aa.i
junun-e-bandagi men ḳhud ko sajda kar liya main ne
vafa-na-ashna is sadgi ki daad de mujh ko
samajh kar teri baton par bharosa kar liya main ne
mohabbat be-baha shai hai magar taqdir achchhi thi
mata-e-do-jahan de kar ye sauda kar liya main ne
mila to diid ka mauqa magar ghairat ko kya kahiye
jab aa.i vadi-e-aiman to parda kar liya main ne
baḌi daulat hai haq ke naam par daulat luTa dena
jahan men phunk kar chandi ko sona kar liya main ne
kisi ke ek dard-e-bandagi se kya mili fursat
ki dil men sau tarah ka dard paida kar liya main ne
tamasha dekhte hi dekhte un ki adaon ka
sar-e-mahfil ḳhud apne ko tamasha kar liya main ne
kisi ki raah men ‘faruq’ barbad-e-vafa ho kar
bura kya hai ki apne haq men achchha kar liya main ne
Leave a Reply