ḳhayal-e-yar ka raushan jo hai diya na bujha
rah-e-hayat men is se hi hai ziya na bujha
jo pyaas hi hai muqaddar mira to phir saaqi
piyala rahne de ye tishnagi baḌha na bujha
shab-e-visal hai dam le zara numud-e-sahar
Thahar abhi se sitaron ka silsila na bujha
kabhi laga.i thi tu ne jo dida-o-dil men
hai iḳhtiyar tujhe aag ye bujha na bujha
bata do us ko ki har daur ke ḳhudaon ne
bujhaya laakh magar sho.ala-e-nava na bujha
Leave a Reply