• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / KHatm Hoga Ab Safar Pesh-E-Nazar Hai Ru-E-Dost

KHatm Hoga Ab Safar Pesh-E-Nazar Hai Ru-E-Dost

ḳhatm hoga ab safar pesh-e-nazar hai ru-e-dost

aa rahi hai aaj ki manzil se mujh ko bu-e-dost

aage aage hasraten ….aur pichhe pichhe main chala

is tarah ghar se nikal kar ja raha huun su-e-dost

pahle to dil ne jigar ki jaan na-qadri se li

DhunDhta phirta hai aalam bhar men ab pahlu-e-dost

vah-ri qismat ki gardun par sahar hone lagi

go paḌe the mere baazu par abhi gesu-e-dost

ḳhud-baḳhud meri rag-e-gardan phaḌak uThti hai aaj

kar raha hai koi zikr-e-quvvat-e-bazu-e-dost

lafz jo dil ki talab men tha vo bilkul sehr tha

baton hi baton men mujh par chal gaya jadu-e-dost

koi divana chala hai hashr men is vaz.a se

chaak ta-daman gareban munh pe ḳhak-e-ku-e-dost

dil se mujh ko saaf saaf aḳhir ye kah dena paḌa

ab vahi saḳhti bhi jhele jo bigaḌe ḳhu-e-dost

ho agar zinda tum ai ‘alim’ to ab hoshyar ho

kab talak soya karoge thak gaya zanu-e-dost

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Hum Mai-Kashon Ke Qadmon Par Akasr

daraKHt Mujhko Nai Kahani Suna Rahe Hain

Waise to Is Ghar Ko Usne Chahe Kam KHush-Haali Di

Jo iKHtilaf Nahin Hai to Etiraf to Ho

poet

Hamare Haal Ki Ja Kar Unhen KHabar to Karen

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet