unhen bechna to zaruri hai
bazar ke mod par
vaqfa vaqfa sada
kimiya mil gaya kimiya mil gaya
vaqfa vaqfa sada
un sadaon ka ahang
masjid shivala
sahife
sahifon ka ahang
naghmat
naghmon ka ahang
naghmat
naghmon ka ahang
tabl-o-alam
fauj ahang par march karti hui
unhen bechna to zaruri hai varna
khayalat nargis-zada
apne mahaul ke ghaar men be-nava hi rahenge
unhen bechna to zaruri hai varna
kisi kimiya-gar ki taqlid ka zahar piina padega
hamen to kharidar ban ke hi jiina padega
Leave a Reply