fareb-khurda-e-paiman-e-yar hona tha
rahin-e-kashmakash-e-intizar hona tha
likhin azal se thiin mahrumiyan muqaddar men
nishana-e-sitam-e-rozgar hona tha
taghaful aap ka sheva sahi magar kuchh to
khayal-e-khatir-e-ummid-var hona tha
ghazab hua ki sahar se hi pahle dil duuba
abhi kuchh aur shab-e-intizar hona tha
Leave a Reply