apne andar ke andhere ko jalaya main ne
kaun kahta hai ki tufan uThaya main ne
tu mujhe zahr pilati hai ye tera sheva
ai miri raat tujhe ḳhuun pilaya main ne
is ḳharabe ke muqaddar men faqat sannaTa
apni tanha.i ko ik jism banaya main ne
koi Takra.e to is hijr-zada mausam men
raat jangal men bahut ḳhud ko jalaya main ne
Leave a Reply